Aal-e-Ahmad Suroor

KHushk kheti hai magar usko hari kahte hain

Aal-e-Ahmad Suroor

Badayun, Uttar pradesh, India

1911-2002
ḳhushk khetī hai magar us ko harī kahte haiñ
kam-nigāhī ko bhī vo dīda-varī kahte haiñ
fikr-e-raushan ko vo shorīda-sarī kahte haiñ
yaanī sūraj ko charāġh-e-saharī kahte haiñ
jo tire dar se uThā phir vo kahīñ kā na rahā
us kī qismat meñ rahī dar-badrī kahte haiñ
kitnī be-rahm hai fitrat unheñ mālūm nahīñ
jo use kārgah-e-shīshagarī kahte haiñ
husn ke baab meñ 'akbar' kī sanad kaafī hai
ham bhī har ik but-e-kamsin ko parī kahte haiñ
rūh-e-sayyad pe ḳhudā jaane guzar jā.egī kyā
aam alī-gaḌh meñ huī kam-nazarī kahte haiñ
Top Urdushayar.com