kuchh log taġhayyur se abhī kaañp rahe haiñ
ham saath chale to haiñ magar haañp rahe haiñ
nāroñ se siyāsat kī haqīqat nahīñ chhuptī
uryāñ hai badan laakh use Dhāñp rahe haiñ
kyā baat hai shahroñ meñ simaT aa.e haiñ saare
jañgal meñ to gintī ke hī kuchh saañp rahe haiñ
makḌī kahīñ makkhī ko giraftār na kar le
vo shoḳh-nigāhoñ se mujhe bhāñp rahe haiñ
ye jhuuT hai yā sach hai samajh meñ nahīñ aatā
sach bolne meñ hoñT mire kaañp rahe haiñ