ham barq-o-sharar ko kabhī ḳhātir meñ na laa.e
us fitna-e-daurāñ ko magar dekh na paa.e
go qatre meñ dariyāoñ kā tūfān samā.e
par shauq kī rūdād kab alfāz meñ aa.e
zulfoñ ko diyā hai ruḳh-e-zebā ne ajab rañg
jalvoñ se tire aur bhī raushan hue saa.e
ye ishq ke sho.ale bhī ajab chīzeñ haiñ ya.anī
jo aag lagā.e vahī ḳhud aag bujhā.e
Dhaltī hai vo mai ik tire paimāne meñ saaqī
mastī ko bhī jo hosh ke ādāb sikhā.e
terī hī nigāhoñ kā tasarruf thā ki ham ne
rānā.i-e-afkār ke e.ajāz dikhā.e
jis dil pe kisī kī nigah-e-lutf paḌī thī
baiThe haiñ 'surūr' us ko kaleje se lagā.e