tū payambar sahī ye mo.ajiza kaafī to nahīñ
shā.irī ziist ke zaḳhmoñ kī talāfī to nahīñ
sāya-e-gul meñ zarā der jo sustā.e haiñ
sāya-e-dār se ye va.ada-ḳhilāfī to nahīñ
apnī duniyā se milī fursat-e-yak-jast hameñ
āsmāñ ke liye ik jast hī kaafī to nahīñ
kisī chaḌhte hue sūraj kī parastish na karo
dekh lo is meñ koī sho.abada-bāfī to nahīñ
tishnagī ham ko milī tum hue sairāb to kyā
in muqaddar kī sazāoñ se muāfī to nahīñ
dev-mālā kā dhuñdlakā ho ki ḳhvāboñ kī kiran
aaj kī ā.īna-sāzī kī munāfī to nahīñ
ḳhvāb Takrāo haqīqat se ki sho.ale nikleñ
is añdhere meñ diyā ek hī kaafī to nahīñ