Aal-e-Ahmad Suroor

KHwabon se yun to roz bahalte rahe hain hum

Aal-e-Ahmad Suroor

Badayun, Uttar pradesh, India

1911-2002
ḳhvāboñ se yuuñ to roz bahalte rahe haiñ ham
kitnī haqīqatoñ ko badalte rahe haiñ ham
apne ġhubār meñ bhī hai vo zauq-e-sar-kashī
pāmāl hauke arsh pe chalte rahe haiñ ham
sau sau tarah se tujh ko sañvārā hai husn-e-dost
sau sau tarah se rañg badalte rahe haiñ ham
har dasht-o-dar meñ phuul khilāne ke vāste
akasr to nok-e-ḳhār pe chalte rahe haiñ ham
ā.īn-e-pāsdārī-e-sahrā na chhuT sakā
vaz-e-junūñ agarche badalte rahe haiñ ham
saaqī na multafit ho to piinā harām hai
pyāse bhī mai-kade se nikalte rahe haiñ ham
koī ḳhalīl jis ko na gulzār kar sakā
tere liye is aag pe chalte rahe haiñ ham
kyā jaane kab vo sub.h-e-bahārāñ ho jalva-gar
daur-e-ḳhizāñ meñ jis se bahalte rahe haiñ ham
pursān-e-hāl kab huī vo chashm-e-be-niyāz
jab bhī gire haiñ ḳhud hī sambhalte rahe haiñ ham
sāhil kī ishratoñ ko ḳhabar bhī na ho sakī
tūfān ban ke laakh machalte rahe haiñ ham
taḳh.īl-e-lāla-kār ye kahtī hai ai 'surūr'
koī zamīñ ho phūlte-phalte rahe haiñ ham
Top Urdushayar.com