siyāh raat kī sab āzmā.isheñ manzūr
kisī sahar ke ujāle kā aasrā to milā
nazar milā na sake ham se vo to ġham kyā hai
ki dil se dil ke dhaḌakne kā silsila to milā
hai aaj aur hī kuchh zulf-e-tābdār meñ ḳham
bhaTakne vaale ko manzil kā rāsta to milā
sarishk-e-chashm se motī bahut luTā.e ga.e
tirī nigah ke shahīdoñ ko ḳhūñ-bahā to milā
jahāñ nigāh se insāñ banā.e jaate haiñ
vo bāb-e-mai-kada mere liye khulā to milā
sitam-zarīf mohabbat ko jurm kahte haiñ
gunāh-gār ko jiine kā aasrā to milā
na rahnumā hai na manzil dayār-e-ulfat meñ
qadam uThāte hī ḳhizr-e-shikasta-pā to milā
mire junūñ ne khilā.e haiñ phuul sahrā meñ
mire junūñ se bahāroñ ko hausla to milā
samajhte the ki vafā-nā-shanās hai duniyā
'surūr' ham ko bhī ik dard-āshnā to milā