Aal-e-Ahmad Suroor

lo andheron ne bhi andaz ujalon ke liye

Aal-e-Ahmad Suroor

Badayun, Uttar pradesh, India

1911-2002
lo añdheroñ ne bhī andāz ujāloñ ke liye
kaisī uftād paḌī dekhne vāloñ ke liye
tāza-kārī ne vahāñ kar diye aalam ījād
ham taraste hī rahe taaza ḳhayāloñ ke liye
shāh-rāhoñ se guzarte haiñ shab-o-roz hujūm
na.ī rāheñ haiñ faqat chand jiyāloñ ke liye
kaam maazī kī ye sāda-nigahī kyā aatī
asr-e-hāzir tire pechīda savāloñ ke liye
kitnī sham.eñ bujhīñ nādīda kiran kī ḳhātir
kitne sūraj liye mauhūm ujāloñ ke liye
kitne sañgīn haqā.eq se nichoḌā hai lahū
chand ḳhvāboñ ke liye chand ḳhayāloñ ke liye
go nigah-dārī-e-ādāb-e-junūñ mushkil hai
phir bhī āsāñ hai tire chāhne vāloñ ke liye
Top Urdushayar.com