Aal-e-Ahmad Suroor

aaj se pahle tere maston ki ye KHwari na thi

Aal-e-Ahmad Suroor

Badayun, Uttar pradesh, India

1911-2002
aaj se pahle tire mastoñ kī ye ḳhvārī na thī
mai baḌī ifrāt se thī phir bhī sarshārī na thī
ek ham qadroñ kī pāmālī se rahte the malūl
shukr hai yāroñ ko aisī koī bīmārī na thī
zehn kī parvāz ho yā shauq kī rāmish-garī
koī āzādī na thī jis meñ giraftārī na thī
josh thā hañgāma thā mahfil meñ terī kyā na thā
ik faqat ādāb-e-mahfil kī nigah-dārī na thī
un kī mahfil meñ nazar aa.e sabhī sho.ala-ba-kaf
apne dāman meñ magar koī bhī chiñgārī na thī
kal isī bastī meñ kuchh ahl-e-vafā hote to the
is qadar ahl-e-havas kī garm-bāzārī na thī
husn kāfir thā adā qātil thī bāteñ sehr thiiñ
aur to sab kuchh thā lekin rasm-e-dildārī na thī
Top Urdushayar.com