Aal-e-Ahmad Suroor

har ek jannat ke raste ho ke dozaKH se nikalte hain

Aal-e-Ahmad Suroor

Badayun, Uttar pradesh, India

1911-2002
har ik jannat ke raste ho ke dozaḳh se nikalte haiñ
unheñ kā haq hai phūloñ par jo añgāroñ pe chalte haiñ
haqā.eq un se Takrā kar na.e sāñchoñ meñ Dhalte haiñ
baḌe hī saḳht-jāñ hote haiñ jo ḳhvāboñ pe palte haiñ
gumāñ hotā hai jin maujoñ pe ik naqsh-e-hubābī kā
unhī soī huī maujoñ meñ kuchh tūfān palte haiñ
vo raat āḳhir huī to kyā ye din kab rahne vaalā hai
sitāre maañd hote haiñ agar sūraj bhī Dhalte haiñ
talavvun chashm-e-sāqī meñ taġhayyur vaz-rindī meñ
hamāre mai-kade meñ roz paimāne badalte haiñ
haqā.eq sard ho sakte haiñ sab mehrāb-o-mimbar ke
magar vo ḳhvāb jo rindoñ ke paimāne meñ Dhalte haiñ
junūñ ne ālam-e-vahshat meñ jo rāheñ nikālī haiñ
ḳhirad ke kārvāñ āḳhir unhī rāhoñ pe chalte haiñ
'surūr'-e-sāda ko yuuñ to lahū ronā hī aatā hai
magar is sādgī meñ bhī baḌe pahlū nikalte haiñ
Top Urdushayar.com