dil-dādgān-e-lazzat-e-ījād kyā kareñ
sailāb-e-ashk-o-āh pe buniyād kyā kareñ
karnā hai ban ko taaza nihāloñ kī dekh bhaal
biitī huī bahār ko vo yaad kyā kareñ
haañ jaan kar umiid kī maddham rakhī hai lau
ab aur pās-e-ḳhātir-e-nāshād kyā kareñ
sañgīñ haqīqatoñ se kahāñ tak malūl hoñ
rānā.i-e-ḳhayāl ko barbād kyā kareñ
dekho jise liye hai vo zaḳhmoñ kī kā.enāt
ham ek apne zaḳhm pe fariyād kyā kareñ
rindoñ kī aarzū kā talātum kahāñ se laa.eñ
āsūdgān-e-masnad-e-irshād kyā kareñ
kis ko nahīñ sukūn kī ḳhvāhish jahān meñ
uftādgān-e-rahguzar-e-bād kyā kareñ
jo har nazar meñ taaza kareñ mai-kade hazār
sach hai 'surūr'-e-rafta ko vo yaad kyā kareñ