Aal-e-Ahmad Suroor

log tanhai ka kis darja gila karte hain

Aal-e-Ahmad Suroor

Badayun, Uttar pradesh, India

1911-2002
log tanhā.ī kā kis darja gilā karte haiñ
aur fankār to tanhā hī rahā karte haiñ
vo tabassum hai ki 'ġhālib' kī tarah-dār ġhazal
der tak us kī balāġhat ko paḌhā karte haiñ
koī jaadū koī jalva koī mastī koī mauj
ham inhīñ chand sahāroñ pe jiyā karte haiñ
din pe yāroñ ko añdhere kā gumāñ hotā hai
ham añdhere meñ kiran DhūñDh liyā karte haiñ
bastiyāñ kuchh huiiñ vīrān to mātam kaisā
kuchh ḳharābe bhī to ābād huā karte haiñ
sunñe vāloñ kī hai taufīq suneñ yā na suneñ
baat kahne kī jo hai ham to kahā karte haiñ
sāhil o bahr ke aa.iin salāmat na rahe
ab to sāhil se bhī tūfān uThā karte haiñ
log bātoñ meñ bahā dete haiñ is daur kā dard
aur ash.ār meñ ham Dhaal liyā karte haiñ
Top Urdushayar.com