ḳhudā-parast mile aur na but-parast mile
mile jo log vo apne nashe meñ mast mile
kahīñ ḳhud apnī durustī kā dukh nahīñ dekhā
bahut jahāñ kī durustī ke bandobast mile
kahīñ to ḳhāk-nashīñ kuchh buland bhī hoñge
hazāroñ apnī bulandī meñ kitne past mile
ye sahl fat.h to phīkī sī lag rahī hai mujhe
kisī aziim muhim meñ kabhī shikast mile
ye shāḳh-e-gul kī lachak bhī payām rakhtī hai
basān-e-teġh the jo ham ko haq-parast mile
sunā hai chand tahī-dāmanoñ meñ zarf to thā
'surūr' ham ko tavañgar bhī tañg-dast mile