Aal-e-Ahmad Suroor

zanjir se junun ki KHalish kam na ho saki

Aal-e-Ahmad Suroor

Badayun, Uttar pradesh, India

1911-2002
zanjīr se junūñ kī ḳhalish kam na ho sakī
bhaḌkī agar ye aañch to maddham na ho sakī
badle bahār-e-lāla-o-gul ne hazār rañg
lekin jamāl-e-dost kā aalam na ho sakī
kyā kyā ġhubār uThā.e nazar ke fasād ne
insāniyat kī lau kabhī maddham na ho sakī
ham laakh bad-maza hue jām-e-hayāt se
jiine kī pyaas thī ki kabhī kam na ho sakī
jo jhuk ga.ī jabīñ tire naqsh-e-qadam kī samt
tā-zīst phir vo aur kahīñ ḳham na ho sakī
mujh se na pūchh apnī hī teġh-e-adā se pūchh
kyuuñ terī chashm-e-lutf bhī marham na ho sakī
kitne rumūz-e-shauq in āñkhoñ meñ rah ga.e
jin se nigāh-e-dost bhī mahram na ho sakī
mauj-e-nasīm apnī bahāreñ luTā ga.ī
lekin ḳhizāñ kī muda-dilī kam na ho sakī
allāh-re ishtiyāq nigāh-e-umīd kā
kho.e ho.uuñ kī yaad meñ pur-nam na ho sakī
gul-kārī-e-nazar ho ki rañg-e-jamāl-e-dost
kuchh baat thī ki ziist jahannam na ho sakī
in kī jabīñ pe ḳhair se ik rañg aa gayā
merī vafā agarche musallam na ho sakī
apne hī ghar kī ḳhair manā.ī tamām umr
ham se 'surūr' fikr-e-do-ālam na ho sakī
Top Urdushayar.com