Aal-e-Ahmad Suroor

ek diwane ko itna hi sharaf kya kam hai

Aal-e-Ahmad Suroor

Badayun, Uttar pradesh, India

1911-2002
ek dīvāne ko itnā hī sharaf kyā kam hai
zulf o zanjīr se yak-gūna shaġhaf kyā kam hai
shauq ke haath bhalā chāñd ko chhū sakte haiñ
chāñdnī dil meñ rahe ye bhī sharaf kyā kam hai
kaun is daur meñ kartā hai junūñ se saudā
tere dīvānoñ kī TuuTī huī saf kyā kam hai
aag bhaḌkī jo idhar bhī to bachegī kyā shai
shola-e-shauq kī lau ek taraf kyā kam hai
maiñ ne har mauj ko mauj-e-guzarāñ samjhā hai
varna tūfānoñ kā ruḳh merī taraf kyā kam hai
kaalī rātoñ meñ ujāle se mohabbat kī hai
subah kī bazm meñ apnā ye sharaf kyā kam hai
Top Urdushayar.com