Aal-e-Ahmad Suroor

dastan-e-shauq kitni bar dohrai gai

Aal-e-Ahmad Suroor

Badayun, Uttar pradesh, India

1911-2002
dāstān-e-shauq kitnī baar dohrā.ī ga.ī
sunñe vāloñ meñ tavajjoh kī kamī paa.ī ga.ī
fikr hai sahmī huī jazba hai murjhāyā huā
mauj kī shorish ga.ī dariyā kī gahrā.ī ga.ī
husn bhī hai maslahat-bīñ ishq bhī duniyā-shanās
aap kī shohrat ga.ī yāroñ kī rusvā.ī ga.ī
ham to kahte the zamāna hī nahīñ jauhar-shanās
ġhaur se dekhā to apne meñ kamī paa.ī ga.ī
zaḳhm milte haiñ ilāj-e-zaḳhm-e-dil miltā nahīñ
vaz-e-qātil rah ga.ī rasm-e-masīhā.ī ga.ī
gard uḌaa.ī jo siyāsat ne vo āḳhir dhul ga.ī
ahl-e-dil kī ḳhaak meñ bhī zindagī paa.ī ga.ī
merī maddham lai kā jaadū ab bhī baaqī hai 'surūr'
fasl ke naġhme ga.e mausam kī shahnā.ī ga.ī
Top Urdushayar.com