vo ehtiyāt ke mausam badal ga.e kaise
charāġh dil ke añdhere meñ jal ga.e kaise
banā diyā thā zamāne ne barf ke mānind
ham ek shoḳh kiran se pighal ga.e kaise
umiid jin se thī vaz-e-junūñ nibhāne kī
vo log vaqt ke sāñche meñ Dhal ga.e kaise
sitāre jazb hue gard-e-rāh meñ kyā kyā
ḳhayāl-o-ḳhvāb ke aa.iiñ badal ga.e kaise
ḳhizāñ se jin ko bachā laa.e the jatan kar ke
vo naḳhl ab ke bahāroñ meñ jal ga.e kaise
na jaane kyuuñ jinheñ samjhe the ham farishte haiñ
qarīb aa.e to chehre badal ga.e kaise
har ek sāya-e-dīvār kī lapeT meñ hai
'surūr' aap hī bach kar nikal ga.e kaise