nizām-e-fikr ne badlā hī thā savāl kā rañg
jhalak uThā ka.ī chehroñ se infi.āl kā rañg
na gul-kadoñ ko mayassar na chāñd-tāroñ ko
tire visāl kī ḳhushbū tire jamāl kā rañg
zarā sī der ko chehre damak to jaate haiñ
ḳhushī kā rañg ho yā ho ġham-o-malāl kā rañg
zamāna apnī kahānī sunā rahā thā hameñ
ubhar gayā magar āġhāz meñ ma.aal kā rañg
asīr-e-vaqt hai to maiñ huuñ vaqt se āzād
tire uruuj se achchhā mire zavāl kā rañg
ba-sān-e-taḳhta-e-gul merī fikr hai āzād
misāl-e-qaus-e-quzah hai mire ḳhayāl kā rañg