jabr-e-hālāt kā to naam liyā hai tum ne
apne sar bhī kabhī ilzām liyā hai tum ne
mai-kashī ke bhī kuchh ādāb baratnā sīkho
haath meñ apne agar jaam liyā hai tum ne
umr guzrī hai añdhere kā hī mātam karte
apne shole se bhī kuchh kaam liyā hai tum ne
ham faqīroñ se satā.ish kī tamannā kaisī
shahryāroñ se jo in.aam liyā hai tum ne
qarz bhī un ke muānī kā adā karnā hai
garche lafzoñ se baḌā kaam liyā hai tum ne
un usūloñ ke kabhī zaḳhm bhī khaa.e hote
jin usūloñ kā bahut naam liyā hai tum ne
lab pe aate haiñ bahut zauq-e-safar ke naġhme
aur har gaam pe ārām liyā hai tum ne