navā-e-shauq meñ shorish bhī hai qarār bhī hai
ḳhirad kā paas bhī ḳhvāboñ kā kārobār bhī hai
hazār baar bahāroñ ne dukh diyā mujh ko
na jaane kyā kyā hai bahāroñ kā intizār bhī hai
jahāñ meñ ho ga.ī nā-haq tirī jafā badnām
kuchh ahl-e-shauq ko dār-o-rasan se pyaar bhī hai
mire lahū meñ ab itnā bhī rañg kyā hotā
tarāz-e-shauq meñ aks-e-ruḳh-e-nigār bhī hai
mire safīne ko sāhil kī justujū hī nahīñ
sitam ye hai kisī tūfāñ kā intizār bhī hai
chaman hī ik nahīñ ā.īna merī mastī kā
gavāh josh-e-junūñ kī zabān-e-ḳhār bhī hai
ġhurūr-e-ishq ġhurūr-e-vafā ġhurūr-e-nazar
'surūr' tere gunāhoñ kā kuchh shumār bhī hai