Aal-e-Ahmad Suroor

hamare hath mein jab koi jam aaya hai

Aal-e-Ahmad Suroor

Badayun, Uttar pradesh, India

1911-2002
hamāre haath meñ jab koī jaam aayā hai
to lab pe kitne hī pyāsoñ kā naam aayā hai
kahāñ kā nuur yahāñ raat ho ga.ī gahrī
mirā charāġh añdheroñ ke kaam aayā hai
ye kyā ġhazab hai jo kal tak sitam-rasīda the
sitamgaroñ meñ ab un kā bhī naam aayā hai
tamām umr kaTī us kī justujū karte
baḌe dinoñ meñ ye tarz-e-kalām aayā hai
baḌhūñ to raakh banūñ muḌ chalūñ to pathrā jā.ūñ
safar meñ shauq ke nāzuk maqām aayā hai
ḳhabar bhī hai mire gulshan ke laala o gul ko
mirā lahū bhī bahāroñ ke kaam aayā hai
vo sar-phire jo nigah-dāri-e-junūñ meñ rahe
'surūr' un meñ hamārā bhī naam aayā hai
Top Urdushayar.com