vo ji.eñ kyā jinheñ jiine kā hunar bhī na milā
dasht meñ ḳhaak uḌāte rahe ghar bhī na milā
ḳhas-o-ḳhāshāk se nisbat thī to honā thā yahī
DhūñDne nikle the shole ko sharar bhī na milā
na purānoñ se nibhī aur na na.e saath chale
dil udhar bhī na milā aur idhar bhī na milā
dhuup sī dhuup meñ ik umr kaTī hai apnī
dasht aisā ki jahāñ koī shajar bhī na milā
koī donoñ meñ kahīñ rabt-e-nihāñ hai shāyad
but-kada chhūTā to allāh kā ghar bhī na milā
haath uTThe the qadam phir bhī baḌhāyā na gayā
kyā ta.ajjub jo duāoñ meñ asar bhī na milā
bazm kī bazm huī raat ke jaadū kā shikār
koī dil-dāda-e-afsūn-e-sahar bhī na milā