Aal-e-Ahmad Suroor

shaguftagi-e-dil-e-viran mein aaj aa hi gai

Aal-e-Ahmad Suroor

Badayun, Uttar pradesh, India

1911-2002
shaguftagī-e-dil-e-vīrāñ meñ aaj aa hī ga.ī
ghaTā chaman pe bahāroñ ko le ke chhā hī ga.ī
hayāt-e-tāza ke ḳhatroñ se dil dhaḌaktā thā
havā chalī to kalī phir bhī muskurā hī ga.ī
naqāb meñ bhī vo jalve na qaid ho paa.e
kiran diloñ ke añdhere ko jagmagā hī ga.ī
taġhāful ek bharam thā ġhurūr-e-jānāñ kā
mirī nigāh-e-mohabbat kā ramz pā hī ga.ī
mutālbe to bahut saḳht the zamāne ke
magar huqūq-e-mohabbat kī yaad aa hī ga.ī
mire junūñ kī ḳhalish se ab aur kyā hotā
sukūt-e-ahl-e-ḳhirad ko to aazmā hī ga.ī
matā-e-qalb-o-nazar ḳhaak hote hote bhī
jahān-e-husn kī kuchh aabrū baḌhā hī ga.ī
thapak thapak ke sulāyā jo tum ne zauq-e-suḳhan
'surūr' is ko kisī kī nazar jagā hī ga.ī
Top Urdushayar.com