jab kabhī baat kisī kī bhī burī lagtī hai
aisā lagtā hai ki siine meñ chhurī lagtī hai
raat bhārī thī to the us ke sitam se be-zār
sub.h aa.ī hai to vo aur burī lagtī hai
vo ho ārā.ish-e-afkār ki zebā.ish-e-fan
aaj donoñ kī ravish ḳhāna-purī lagtī hai
log māñge ke ujāle se haiñ aise mar.ūb
raushnī apne charāġhoñ kī burī lagtī hai
ahl-e-dānish hue arbāb-e-siyāsat ke murīd
aisī pastī pe mire dil meñ chhurī lagtī hai