Aal-e-Ahmad Suroor

jis ne kiye hain phul nichhawar kabhi kabhi

Aal-e-Ahmad Suroor

Badayun, Uttar pradesh, India

1911-2002
jis ne kiye haiñ phuul nichhāvar kabhī kabhī
aa.e haiñ us kī samt se patthar kabhī kabhī
ham jis ke ho ga.e vo hamārā na ho sakā
yuuñ bhī huā hisāb barābar kabhī kabhī
yaañ tishna-kāmiyāñ to muqaddar haiñ ziist meñ
miltī hai hausle ke barābar kabhī kabhī
aatī hai dhaar un ke karam se shu.ūr meñ
dushman mile haiñ dost se behtar kabhī kabhī
manzil kī justujū meñ jise chhoḌ aa.e the
aatā hai yaad kyuuñ vahī manzar kabhī kabhī
maanā ye zindagī hai fareboñ kā silsila
dekho kisī fareb ke jauhar kabhī kabhī
yuuñ to nashāt-e-kār kī sarshāriyāñ milīñ
anjām-e-kār kā bhī rahā Dar kabhī kabhī
dil kī jo baat thī vo rahī dil meñ ai 'surūr'
khole haiñ garche shauq ke daftar kabhī kabhī
Top Urdushayar.com