Aal-e-Ahmad Suroor

hamein to mai-kade ka ye nizam achchha nahin lagta

Aal-e-Ahmad Suroor

Badayun, Uttar pradesh, India

1911-2002
hameñ to mai-kade kā ye nizām achchhā nahīñ lagtā
na ho sab ke liye gardish meñ jaam achchhā nahīñ lagtā
kabhī tanhā.ī kī ḳhvāhish ye hotī hai ki logoñ kā
payām achchhā nahīñ lagtā salām achchhā nahīñ lagtā
ḳhudā se lau lagā.eñ yā ḳhudā.ī se rahe rishta
faqat apnī ḳhudī kā ehtirām achchhā nahīñ lagtā
jabīn-e-pur-shikan ḳhāsān-e-ālam kī nahīñ bhātī
magar ye bhī hai ġhauġhā-e-āvām achchhā nahīñ lagtā
na ḳhushbū pairahan kī hai na zulfoñ kī na bātoñ kī
hameñ ye jalva-e-bālā-e-bām achchhā nahīñ lagtā
mayassar ho to qadre lutf bhī nemat hai yaañ yaaro
kisī kā vāda-e-aish-e-davām achchhā nahīñ lagtā
ye sastī lazzatoñ sastī siyāsat ke pujārī haiñ
hameñ ahbāb kā saudā-e-ḳhām achchhā nahīñ lagtā
jahāñ harkat nahīñ hotī vahāñ barkat nahīñ hotī
'surūr' ab vādi-e-gul meñ qayām achchhā nahīñ lagtā
Top Urdushayar.com