Ejaz Siddiqi

mil sakegi ab bhi dad-e-abla-pai to kya

Ejaz Siddiqi

Agra, Uttar pradesh, India

1913-1978
mil sakegī ab bhī dād-e-ābla-pā.ī to kyā
fāsle kam ho ga.e manzil qarīb aa.ī to kyā
hai vahī jabr-e-asīrī aur vahī ġham kā qafas
dil pe ban aa.ī to kyā ye ruuh ghabrā.ī to kyā
apnī be-tābī-e-dil kā ḳhud tamāshā ban ga.e
aap kī mahfil ke bante ham tamāshā.ī to kyā
baat to jab hai ki saarā gulistāñ hañsne lage
fasl-e-gul meñ chand phūloñ kī hañsī aa.ī to kyā
laao in be-kaifiyoñ hī se nikāleñ rāh-e-kaif
vaqt ab legā koī pur-kaif añgḌā.ī to kyā
kam-nigāhī ne use kuchh aur gahrā kar diyā
vo chhupāte hī raheñ rañg-e-shanāsā.ī to kyā
phir zarā sī der meñ chauñkā.egā ḳhvāb-e-sahar
āḳhir-e-shab jāgne ke ba.ad niiñd aa.ī to kyā
beḌiyāñ vahm-e-ta.alluq kī na.ī pahnā ga.e
dost aa kar kāTte zanjīr tanhā.ī to kyā
shorish-e-afkār se 'ejāz' dāmānda sahī
chhin sakegī phir bhī fikr-o-fan kī ra.anā.ī to kyā
Top Urdushayar.com