Ejaz Siddiqi

na-saza aalam-e-imkan mein saza lagta hai

Ejaz Siddiqi

Agra, Uttar pradesh, India

1913-1978
nā-sazā ālam-e-imkāñ meñ sazā lagtā hai
nā-ravā bhī kisī mauqe pe ravā lagtā hai
yuuñ to gulshan meñ haiñ sab mudda.ī-e-yak-rañgī
bāvajūd is ke har ik rañg judā lagtā hai
kabhī dushman to kabhī dost kabhī kuchh bhī nahīñ
mujhe ḳhud bhī nahīñ mālūm vo kyā lagtā hai
is kī bātoñ meñ haiñ andāz ġhalat samtoñ ke
ho na ho ye to koī rāh-numā lagtā hai
na haTā is ko mire jism se ai jān-e-hayāt
haath terā mire zaḳhmoñ ko davā lagtā hai
duur se ḳhud mirī sūrat mujhe lagtī hai bhalī
jaane kyuuñ paas se har shaḳhs burā lagtā hai
roktā huuñ to ye ruktā hī nahīñ hai 'ejāz'
mujhe har roz-o-shab-e-vaqt havā lagtā hai
Top Urdushayar.com