Shamim Karhani

kaun hai dard-ashna sang-dili ka daur hai

Shamim Karhani

Karhan, Uttar pradesh, India

1913-1975
kaun hai dard-āshnā sañg-dilī kā daur hai
dil kā diyā bachā.iye aaj havā kuchh aur hai
saare jahāñ kī shām-e-ġham sub.h-e-bahār ban ga.ī
merī sahar kā mas.ala aaj bhī zer-e-ġhaur hai
nashsha-e-dard kho gayā sāqi-e-dard so gayā
mahfil-e-dil meñ jaa.eñ kyā tishna-labī kā daur hai
ḳhūn-e-jigar se umr bhar qarz-e-hayāt adā kiyā
phir bhī yahī sunā kiye roz-e-hisāb aur hai
dair o haram ke darmiyāñ DhūñDiye kyuuñ 'shamīm' ko
abr o shafaq ko dekhiye merā ḳhayāl aur hai
Top Urdushayar.com