Ejaz Siddiqi

duniya sabab-e-shorish-e-gham puchh rahi hai

Ejaz Siddiqi

Agra, Uttar pradesh, India

1913-1978
duniyā sabab-e-shorish-e-ġham pūchh rahī hai
ik mohr-e-ḳhamoshī hai ki hoñToñ pe lagī hai
kuchh aur ziyāda asar-e-tishna-labī hai
jab se tirī āñkhoñ se chhalaktī huī pī hai
is jabr kā ai ahl-e-jahāñ naam koī hai
kulfat meñ bhī ārām hai ġham meñ bhī ḳhushī hai
arbāb-e-chaman apnī bahāroñ se ye pūchheñ
dāmān-e-gul-o-ġhuncha meñ kyuuñ aag lagī hai
ai ham-safaro DhūñDh lo āsānī-e-manzil
apnā to ye dil ḳhūgar-e-mushkil-talabī hai
ai mauja-e-tūfāñ tirā dil koī bhī toḌe
sāhil ne safīne ko ik āvāz to dī hai
Top Urdushayar.com