Shamim Karhani

nigar-e-mah-wash o mahbub-e-lala-ru ki tarah

Shamim Karhani

Karhan, Uttar pradesh, India

1913-1975
nigār-e-mah-vash o mahbūb-e-lāla-rū kī tarah
koī to raat mire ḳhvāb-e-ārzū kī tarah
charāġh-e-shām-e-tamannā kā rañg kyā kahiye
laraz rahā hai kisī harf-e-ārzū kī tarah
shaguft-e-gul kā tabassum bhī harf-e-dilkash hai
magar kahāñ tire andāz-e-guftugū kī tarah
bahal hī jā.egā dil niind aa hī jā.egī
havā to de koī dāmān-e-mushk-bū kī tarah
ḳhulūs-e-ishq hirāsāñ hai ahl-e-duniyā se
kisī ġharīb ke ehsās-e-ābrū kī tarah
hamāre fan kā har ik naqsh be-sila ab tak
ḳhamosh hai kisī māsūm ke lahū kī tarah
ḳhizāñ kā maqtal-e-hasrat bhī dīdanī hai 'shamīm'
paḌe haiñ phuul shahīdān-e-surḳh-rū kī tarah
Top Urdushayar.com