pī kar bhī tabī.at meñ talḳhī hai girānī hai
is daur ke shīshoñ meñ sahbā hai ki paanī hai
ai husn tujhe itnā kyuuñ nāz-e-javānī hai
ye gul-badanī terī ik raat kī raanī hai
is shahr ke qātil ko dekhā to nahīñ lekin
maqtal se jhalaktā hai qātil kī javānī hai
jaltā thā jo ghar merā kuchh log ye kahte the
kyā aag sunahrī hai kyā aañch suhānī hai
is fan kī latāfat ko le jā.ūñ kahāñ āḳhir
patthar kā zamāna hai shīshe kī javānī hai
kyā tum se kaheñ kyā hai āhañg 'shamīm' apnā
sholoñ kī kahānī hai shabnam kī zabānī hai