sharāb o sher ke sāñche meñ Dhal ke aa.ī hai
ye shaam kis kī galī se nikal ke aa.ī hai
samajh rahā huuñ sahar ke fareb-e-rañgīñ ko
nayā libās shab-e-ġham badal ke aa.ī hai
tire qadam kī bahak hai tirī qabā kī mahak
nasīm tere shabistāñ se chal ke aa.ī hai
vafā pe aañch na aatī agar tumhī kahte
zabāñ tak aaj jo ik baat chal ke aa.ī hai
sajī huī hai sitāroñ se mai-kade kī fazā
ki raat tere tasavvur meñ Dhal ke aa.ī hai
ba-ehtiyāt hamārī taraf uThī hai nigāh
laboñ pe mauj-e-tabassum sambhal ke aa.ī hai
hamārī aah hamāre hī dil kī aah nahīñ
na jaane kitne diloñ se nikal ke aa.ī hai
sahar tak aa to ga.ī sham.a tā-ba parvāna
magar harārat-e-ġham se pighal ke aa.ī hai
mirī nigāh-e-tamannā kā aks ho na 'shamīm'
kisī ke ruḳh pe jo surḳhī machal ke aa.ī hai