yaad kī sub.h Dhal ga.ī shauq kī shaam ho ga.ī
aap ke intizār meñ umr tamām ho ga.ī
pī hai jo ek buuñd bhī jaag paḌī hai zindagī
aisī sharāb-e-jāñ-fazā kaise harām ho ga.ī
saath kisī ne chhoḌ kar toḌ diyā kisī kā dil
chal to paḌā thā kārvāñ raah meñ shaam ho ga.ī
nikle ba-yād-e-mai-kada tāroñ ke saath saath ham
jaam tak aa ke zindagī māh-e-tamām ho ga.ī
raas na aa.ī ziist ko sub.h-e-bahār kī havā
ahl-e-junūñ kī anjuman ḳhalvat-e-jām ho ga.ī
aaj vo muskurā diye aaj hamārī zindagī
aag se phuul ban ga.ī phuul se jaam ho ga.ī
bazm se be-zabāñ uThe raah meñ guftugū na kī
kaise hamārī dāstāñ shahr meñ aam ho ga.ī
raat kī jashn-gāh par os paḌī hai niind kī
bād-e-sahar na jaane kyuuñ mahv-e-ḳhirām ho ga.ī
sun lī zabān-e-ḳhalq se ham ne ġhazal 'shamīm' kī
kaun sī ḳhaas baat hai kis liye aam ho ga.ī