ye ḳhushī ġham-e-zamāna kā shikār ho na jaa.e
na milo ziyāda ham se kahīñ pyaar ho na jaa.e
jo machal rahī hai shīshe meñ hasīn hai vo shabnam
mire lab tak aate aate jo sharār ho na jaa.e
na kaTeñ akele dil se ġham-e-zindagī kī rāheñ
jo sharīk-e-fikr-e-daurāñ ġham-e-yār ho na jaa.e
na baḌhā bahut chaman se rah-o-rasm-e-āshiyāna
ki mizāj-e-bāġhbāñ par kahīñ baar ho na jaa.e
tirī taaza muskurāhaT se bhar aa.ī aañkh yaanī
kahīñ ye nishān-e-manzil bhī ġhubār ho na jaa.e
jo qarīb hai kināra to baḌhā hai aur tūfāñ
ki ye saḳht-jān kashtī kahīñ paar ho na jaa.e
isī tarah ḳhūn-e-dil se tū chaman ko sīñchtā jā
ye ḳhizāñ 'shamīm' jab tak ki bahār ho na jaa.e