nikal paḌe haiñ sanam raat ke shivāle se
kuchh aaj shahr-e-ġharībāñ meñ haiñ ujāle se
chalo palaT bhī chaleñ apne mai-kade kī taraf
ye aa ga.e kis andhere meñ ham ujāle se
ḳhudā kare ki bikhar jaa.eñ mere shānoñ par
sañvar rahe haiñ ye bādal jo kaale kaale se
butoñ kī ḳhalvat-e-rañgīñ meñ bazm-e-anjum meñ
kahāñ kahāñ na ga.e ham tire havāle se
junūñ kī vādi-e-āzād meñ talab kar lo
nikāl lo hameñ shām-o-sahar ke haale se
hayāt-e-asr mujhe pher de mirā maazī
hasīn thā vo añdherā tire ujāle se
koī manā.e to kaise manā.e dil ko 'shamīm'
ye baat pūchhiye ik ruuTh jaane vaale se