Shamim Karhani

zulmat-gah-e-dauran mein subh-e-chaman-e-dil hun

Shamim Karhani

Karhan, Uttar pradesh, India

1913-1975
zulmat-gah-e-daurāñ meñ sub.h-e-chaman-e-dil huuñ
roko na safar merā maiñ qismat-e-manzil huuñ
zindāni-e-hastī huuñ pāband-e-salāsil huuñ
kis tarah milūñ tum se ḳhud raah meñ haa.il huuñ
barbād sahī lekin barbād-e-ġham-e-dil huuñ
āñkhoñ se lagā mujh ko gard-e-rah-e-manzil huuñ
ai sañg-ba-kaf duniyā aa shauq se aa lekin
āhista qadam rakhnā maiñ shīsha-gah-e-dil huuñ
mauj-e-ġham-e-jānāñ ho yā mauj-e-ġham-e-daurāñ
aane do mire dil tak har mauj kā sāhil huuñ
hastī ko ġham-e-ālam aalam ko ġham-e-hastī
zindāñ se bayābāñ tak ik silsila-e-dil huuñ
tum mahv-e-ḳhud-ārā.ī meñ ālam-e-tanhā.ī
tum mahfil-e-ḳhalvat ho maiñ ḳhalvat-e-mahfil huuñ
ḳhuun apnī tamannā kā ḳhud kis ne kiyā hogā
mujh par na taras khaao bismil nahīñ qātil huuñ
gulshan se 'shamīm' āḳhir kis tarah guzar jaa.eñ
har phuul ye kahtā hai maiñ pyaar ke qābil huuñ
Top Urdushayar.com