maanā ki sa.i-e-ishq kā anjām-kār kyā
be-iḳhtiyār dil pe magar iḳhtiyār kyā
har zarra āshiyāna-e-dil hai kahīñ Thahar
sahrā-e-zindagī meñ talāsh-e-diyār kyā
shāyad ki shahr meñ koī insān aa gayā
dekho hujūm sā hai sar-e-rahguzār kyā
sadiyoñ kā zahr pī ke jo so.e vo kyā uThe
Dastī hai zindagī kī ḳhalish bār-bār kyā
har zarra lāla-zār hai taaza lahū kī tarah
barsā hai is dayār meñ abr-e-bahār kyā
kyuuñ merī ḳhāk-e-dil kī taraf multafit haiñ log
kuchh ab bhī rah gayā hai diloñ meñ ġhubār kyā
fardā hai intizār meñ sadiyāñ liye hue
maazī ke māh-o-sāl tumhārā shumār kyā
māmūr hai nashāt-e-ġham-e-dil se zindagī
tujh ko 'shamīm' fikr-e-ġham-e-rozgār kyā