Shamim Karhani

aa rahi hai shab-e-gham meri taraf mere liye

Shamim Karhani

Karhan, Uttar pradesh, India

1913-1975
aa rahī hai shab-e-ġham merī taraf mere liye
sāqiyā chashm-e-karam merī taraf mere liye
thakne lagtā huuñ to āvāz sī aatī hai koī
aur do-chār qadam merī taraf mere liye
log kahte haiñ ki ho jaatī hai duniyā rañgīñ
ik nazar merī qasam merī taraf mere liye
pā.eleñ kū-e-nigārāñ meñ khanak uThtī haiñ
jab vo rakhte haiñ qadam merī taraf mere liye
jhilmilāte hue taare hī sahī sub.h-e-firāq
haiñ to kuchh dīda-e-nam merī taraf mere liye
haa.e vo bekasi-e-ishq ki duniyā thī ḳhilāf
dair hī thā na haram merī taraf mere liye
hogī kuchh aisī hī majbūri-e-hālāt 'shamīm'
iltifāt ab jo hai kam merī taraf mere liye
Top Urdushayar.com