zarroñ kā mehr-o-māh se yārāna chāhiye
be-nūriyoñ ko nuur se chamkānā chāhiye
ḳhvāboñ kī naav aur samundar kā madd-o-jazr
Takrā ke paash paash use ho jaanā chāhiye
nishtar-zanī to sheva-e-arbāb-e-fan nahīñ
in dil-jaloñ ko baat ye samjhānā chāhiye
ho raqs zindagī ke jahannam ke ird-gard
parvāna ban ke kis liye jal jaanā chāhiye
khodeñ pahāḌ aur barāmad ho sirf ghaas
misroñ ko is qadar bhī na uljhānā chāhiye
fankār aur fan ke taqāzoñ se nā-balad
ehsās-e-kamtarī hai to laḌ jaanā chāhiye
nām-e-husain le ke haqā.eq se rū-kashī
aisoñ ko qabl-e-maut hī mar jaanā chāhiye