Shamim Karhani

KHud koi chaak-gareban hai rag-e-jaan ke qarib

Shamim Karhani

Karhan, Uttar pradesh, India

1913-1975
ḳhud koī chāk-garebāñ hai rag-e-jāñ ke qarīb
ai junūñ hashr kā sāmāñ hai rag-e-jāñ ke qarīb
manzil-e-dil se to guzre hue din biit ga.e
kārvān-e-ġham-e-jānāñ hai rag-e-jāñ ke qarīb
dar-ba-dar kis liye āvāra ho sar-gashta ho
dosto kūcha-e-jānāñ hai rag-e-jāñ ke qarīb
kyā kaheñ ab dil-e-betāb kā aalam yaaro
muztarib jaise rag-e-jāñ hai rag-e-jāñ ke qarīb
kyuuñ na kāñToñ kī taraf jaa.eñ tire dīvāne
ḳhalish-e-jumbish-e-mizhgāñ hai rag-e-jāñ ke qarīb
shabnam-e-ashk girā detā hai zaḳhm-e-jāñ par
koī hamdard sā insāñ hai rag-e-jāñ ke qarīb
kis ke gaa.e hue naġhmāt sunātā huuñ 'shamīm'
kaun hai vo jo ġhazal-ḳhvāñ hai rag-e-jāñ ke qarīb
Top Urdushayar.com