Shamim Karhani

jashn-e-hayat ho chuka jashn-e-mamat aur hai

Shamim Karhani

Karhan, Uttar pradesh, India

1913-1975
jashn-e-hayāt ho chukā jashn-e-mamāt aur hai
ek barāt aa chukī ek barāt aur hai
ishq kī ik zabān par laakh tarah kī bandisheñ
aap to jo kaheñ bajā aap kī baat aur hai
piine ko is jahān meñ kaun sī mai nahīñ magar
ishq jo bāñTtā hai vo āb-e-hayāt aur hai
zulmat-e-vaqt se kaho hasrat-e-dil nikāl le
zulmat-e-vaqt ke liye aaj kī raat aur hai
un ko 'shamīm' kis tarah nāma-e-ārzū likheñ
likhne kī baat aur hai kahne kī baat aur hai
Top Urdushayar.com