zabāñ ko hukm hī kahāñ ki dāstān-e-ġham kaheñ
adā adā se tum kaho nazar nazar se ham kaheñ
jo tum ḳhudā ḳhudā kaho to ham sanam sanam kaheñ
ki ek hī sī baat hai vo tum kaho ki ham kaheñ
mile haiñ tishna mai-kashoñ ko chand jaam is liye
kaheñ na hāl-e-tishnagī kaheñ to kam se kam kaheñ
sitamgarān-e-sāda-dil ye baat jānte nahīñ
ki vo sitam-zarīf haiñ sitam ko jo karam kaheñ
subū ho mere haath meñ to kāsa-e-gadāgarī
jo tum uThā lo jaam to log jām-e-jam kaheñ
'shamīm' vo na saath deñ to mujh se tai na ho sakeñ
ye zindagī ke rāste ki zulf-e-ḳham-ba-ḳham kaheñ