Shamim Karhani

bachao daman-e-dil aise ham-nashinon se

Shamim Karhani

Karhan, Uttar pradesh, India

1913-1975
bachāo dāman-e-dil aise ham-nashīnoñ se
milā ke haath jo Daste haiñ āstīnoñ se
nigār-e-vaqt ko itnā to pairahan de do
chhupā le dīda-e-pur-nam ko āstīnoñ se
hamārī fikr amānat hai sub.h-e-fardā kī
samāñ hai duur kā dekho na ḳhurd-bīnoñ se
ab apne zaḳhm-e-jabīñ ko chhupā bhī le ai dil
Tapak rahā hai pasīna ka.ī jabīnoñ se
tujhe havā-e-muḳhālif jagā diyā kis ne
bahut qarīb thā sāhil ka.ī safīnoñ se
na jaane mujrim-e-zauq-e-nazar pe kyā guzrī
bharī thī rāh-e-tamāsha tamāsh-bīnoñ se
sukūt-e-vaqt muarriḳh hai likh liyā us ne
jo pattharoñ ne kahā be-ḳhatā jabīnoñ se
'shamīm' anjuman-e-ahl-e-zar meñ kyā jaa.eñ
lahū kā rañg jhalaktā hai ābgīnoñ se
Top Urdushayar.com