Shamim Karhani

wahan khule bhi to kyunkar bisat-e-hikmat-o-fan

Shamim Karhani

Karhan, Uttar pradesh, India

1913-1975
vahāñ khule bhī to kyūñkar bisāt-e-hikmat-o-fan
mile har ek jabīñ par jahāñ shikan hī shikan
hamārī ḳhaak kabhī rā.egāñ na jā.egī
hamārī ḳhaak ko pahchāntī hai ḳhāk-e-vatan
ḳhizāñ kī raat meñ kumhlā ke phuul girte haiñ
to jaag jaatī hai soī huī zamīn-e-chaman
bahut hai raat añdherī magar chale hī chalo
ki aap apne musāfir ko DhūñD legī kiran
khile haiñ phuul magar dil kahāñ khile haiñ 'shamīm'
abhī chaman se bahut duur hai bahār-e-chaman
Top Urdushayar.com