jo dekhte hue naqsh-e-qadam ga.e hoñge
pahuñch ke vo kisī manzil pe tham ga.e hoñge
palaT ke dasht se ā.eñge phir na dīvāne
pukār lo ki abhī kuchh qadam ga.e hoñge
jo māvarā-e-tasavvur nahīñ koī sūrat
to but-kade hī tak ahl-e-haram ga.e hoñge
tire junūñ ne pukārā thā hosh vāloñ ko
na jaane kaun se aalam meñ ham ga.e hoñge
mileñgī manzil-e-āḳhir ke baad bhī rāheñ
mire qadam ke bhī aage qadam ga.e hoñge
na pūchh hausala-e-hamrahān-e-sahal-pasand
jahāñ thakan ne kahā hogā tham ga.e hoñge
jo kah rahe haiñ ki aa.ī nazar na manzil-e-dost
vo log jānib-e-dair-o-haram ga.e hoñge
kahāñ se aa.e diyār-e-shafaq meñ rañgīnī
idhar se tere shahīdān-e-ġham ga.e hoñge
'shamīm' himmat-e-pā-e-talab kī baat na pūchh
vahāñ gayā huuñ jahāñ log kam ga.e hoñge