Shamim Karhani

qaid-e-gham-e-hayat se hum ko chhuDa liya

Shamim Karhani

Karhan, Uttar pradesh, India

1913-1975
qaid-e-ġham-e-hayāt se ham ko chhuḌā liyā
achchhā kiyā ki aap ne apnā banā liyā
hone diyā na ham ne añdherā shab-e-firāq
bujhne lagā charāġh to dil ko jalā liyā
duniyā ke paas hai koī is tanz kā javāb
dīvāna apne haal pe ḳhud muskurā liyā
kyā baat thī ki ḳhalvat-e-zāhid ko dekh kar
rind-e-gunāhgār ne sar ko jhukā liyā
chup huuñ tumhārā dard-e-mohabbat liye hue
sab pūchhte haiñ tum ne zamāne se kyā liyā
nā-qābil-e-bayāñ haiñ mohabbat kī lazzateñ
kuchh dil hī jāntā hai jo dil ne mazā liyā
roz-e-azal paḌī thī hazāroñ hī nemateñ
ham ne kisī kā dard-e-mohabbat uThā liyā
baḌhne lagī jo talḳhi-e-ġham-hā-e-zindagī
thoḌā sā bāda-e-ġham-e-jānāñ milā liyā
vāqif nahīñ giraft-e-tasavvur se vo 'shamīm'
jo ye samajh rahe haiñ ki dāman chhuḌā liyā
Top Urdushayar.com