sham.a par sham.a jalātī huī saath aatī hai
raat aatī hai ki yādoñ kī barāt aatī hai
ik zarā kūcha-e-jānāñ meñ Thahar jā ai maut
ḳhair-maqdam ke liye merī hayāt aatī hai
pher lete haiñ nigāheñ tire pyāse hañs kar
jaam par jaam liye mauj-e-furāt aatī hai
qissa-e-dair-o-haram aur se pūchho logo
ham to shā.ir haiñ hameñ pyaar kī baat aatī hai
hoshiyār ai dil-e-betāb ki maqtal hai qarīb
āḳhirī manzil-e-taslīm-o-sibāt aatī hai
jagmagāte hue mahloñ kī taraf to dekho
un kī duniyā meñ din aatā hai ki raat aatī hai
jis se ban jaatī hai bigḌī huī qismat ai dost
aisī tadbīr bhī taqdīr se haath aatī hai
tishna-kāmān-e-mohabbat se kaho sabr kareñ
maut hāthoñ meñ liye āb-e-hayāt aatī hai
muskurāhaT nahīñ aatī lab-e-sāqī pe 'shamīm'
ġham-e-daurāñ ke liye sub.h-e-najāt aatī hai