Shamim Karhani

mujhe dair se talluq na haram se aashnai

Shamim Karhani

Karhan, Uttar pradesh, India

1913-1975
mujhe dair se ta.alluq na haram se āshnā.ī
kahīñ qashqa-e-numāish kahīñ sajda-e-riyā.ī
kisī jeb-e-dil meñ dekhī na matā-e-ishq maiñ ne
mire shahr meñ luTā do mirā dard-e-be-navā.ī
mire dil ke ā.īne ko na shikasta kar ḳhudā-rā
ki udaas ho na jaa.e tirā husn-e-ḳhud-numā.ī
koī kab pahuñch sakā hai tire ġham kī sarhadoñ tak
vahī kārvāñ kī manzil jo mirī shikasta-pā.ī
mire harf-e-sad-tamannā se khilā to koī ġhuncha
maiñ nisār-e-yak-tabassum ki huī to lab-kushā.ī
mirī ġhurbat-e-sahar kā na thakā ġhurūr varna
maiñ chaman se maañg letā koī shām-e-be-hayā.ī
na 'shamīm' naaz karnā ki atīya-e-junūñ hai
ye tirā tarannum-e-ġham ye tirī ġhazal-sarā.ī
Top Urdushayar.com