vo dil bhī jalāte haiñ rakh dete haiñ marham bhī
kyā turfa tabī.at hai shola bhī haiñ shabnam bhī
ḳhāmosh na thā dil bhī ḳhvābīda na the ham bhī
tanhā to nahīñ guzrā tanhā.ī kā aalam bhī
chhalkā hai kahīñ shīsha Dhalkā hai kahīñ aañsū
gulshan kī havāoñ meñ naġhma bhī hai mātam bhī
har dil ko lubhātā hai ġham terī mohabbat kā
terī hī tarah zālim dilkash hai tirā ġham bhī
inkār-e-mohabbat ko tauhīn samajhte haiñ
iz.hār-e-mohabbat par ho jaate haiñ barham bhī
tum ruk ke nahīñ milte ham jhuk ke nahīñ milte
mālūm ye hotā hai kuchh tum bhī ho kuchh ham bhī
paa.ī na 'shamīm' apne saaqī kī nazar yaksāñ
har aan badaltā hai mai-ḳhāne kā mausam bhī