Shamim Karhani

anmol sahi nayab sahi be-dam-o-diram bik jate hain

Shamim Karhani

Karhan, Uttar pradesh, India

1913-1975

anmol sahī nāyāb sahī be-dām-o-diram bik jaate haiñ

bas pyaar hamārī qīmat hai mil jaa.e to ham bik jaate haiñ

sikkoñ chamak pe girte hue dekhā hai shaiḳh o barhaman ko

phir mere khañDar qīmat kyā jab dair o haram bik jaate haiñ

kyā sharm-e-ḳhudī kyā pās-e-hayā ġhurbat añdherī rātoñ meñ

kitne butān-e-zohra-jabīñ bā-dīda-e-nam bik jaate haiñ

ye hirs-o-havā manzil hai ai rāh-ravo hushyār zarā

jab haath rupahle baḌhte haiñ rahbar ke qadam bik jaate haiñ

vo sāhib-e-ilm-o-hikmat hoñ paikar-e-aql-o-dānā.ī

ik mere dil-e-nādāñ ke sivā sab terī qasam bik jaate haiñ

ye shahr hai shahr-e-zardārī kyā hogā 'shamīm' anjām tirā

yaañ zehn ḳharīdā jaatā hai yaañ ahl-e-qalam bik jaate haiñ

Top Urdushayar.com